SHAYARI
Kis qadar khoob
Kis qadar khoob hai dillagi aapki,
Aaj bhi dil mein basi hai mohabat aapki,
Jab bhi fursat k lamhay miley humein,
Dil ne mehsoos hi hai kami aapki....
....................................................................
Koi dukh na ho
Koi dukh na ho koi ghum na ho,
Koi aankh kabhi num na ho,
Koi dil kisi ka tore na,
Koi sath kisi ka chore na,
Bas piyar ki nadiyan behti ho,
Kaash k Duniya aisi ho.....
....................................................................
Hum nazuk nazuk dil waley
Hum nazuk nazuk dil waley
Kabhi hastey hain kabhi rotey hain
Kabhi dil mein khwab parotey hain,
Kabhi mehfil mehfil phirtey hain,
Kabhi zaat mein gum ho jatey hain,
Kabhi chup ki mohar sajatey hain,
Kabhi geet labon par atey hain,
Kabhi sab ka dil behlatey hain,
Kabhi khud tanha ho jate hain,
Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain,
Kabhi lambi taan k sotey hain,
Hum nazuk nazuk dil waley
Bas apney aap mein rehtey hain...
....................................................................
Jin rahon pe ik umer
Jin rahon pe ik umer tere sath raha hun,
Kuch roz se wo raste sunsan bohat hain..
Mil jao kabhi laut k phir aon na shayed,
Kamzor hun mein rah mein tufan bohat hain..
Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,
Hum bhi tu teri chah mein veeran bohat hain..
Ik tark-e-wafa pe mein usay kaise bhula dun,
Mujh per abhi os shakhs k ehsan bohat hain..
Bhar aaien na aankhein tu mein ik bat bataon,
Ab tujh se bicher jane k imkan bohat hain....
....................................................................
Jo aansoo na hote
Jo aansoo na hote aankhon mein,
Tu aankhein itni haseen na hotin..
Jo dard na hota dil mein,
Tu khushion ki qeemat pata na hoti..
Jo bewafai na ki hoti waqt ne,
Tu wafa ki kabhi chahat na hoti..
Or aggar sochne se poori ho jatin muradein,
Tu duaon ki kabhi zaroorat na hoti....
....................................................................
Meri aankhon ka noor tha
Meri aankhon ka noor tha ek shakhs,
Paas reh ker bhi durr tha ek shakhs,
Zamane ki hawaon ne badel diya ho shayed,
Pehley tu na itna maghroor tha ek shakhs,
Jatey huay us ne palatt k bhi na dekha,
Khuda jane kis qadar majboor tha ek shakhs,
Zamana chahey jo bhi kahey mujhko,
Mein tu yehi kahonga 'mere dil ka saroor tha ek shakhs'
....................................................................
Humare aansu ponch k
Humare aansu ponch k woh muskurate hain,
Isi aada se woh dil ko churate hain,
Hath unka chhu jaye humare chehre ko,
Isi umeed pe hum khud ko roz rulate hain...
....................................................................
Khwab bann k koi ayega
Khwab bann k koi ayega tu neend ayegi,
Ab wohi aa k sulayega tu neend ayegi..
Dil ki wo bat jo aankhon se bayan hoti hai,
Koi honton se sunayega tu neend ayegi....
....................................................................
Ishq mohabat tu
Ishq mohabat tu sab kerty hain,
Ghum-e-judai se wo sab dartey hain,
Hum tu na ishq kerty hain na mohabat,
Bas doston ki ek muskurahat k liye sms kerty hain...
....................................................................
Chahat mein kisi ka
Chahat mein kisi ka imtehan mat lena,
Jo nibha na sako wo wada wafa na dena,
Jise tum bin jeenay ki aadat na ho,
Usay kabhi jeenay ki dua na dena...
....................................................................
Baat rakhi dil mein
Baat rakhi dil mein, baat keh na sakey..
Yaad kiya aapko tu saans le na sakey..
Poocha kisi ne dil ko k, tu ne sachi dosti kis se ki..
Jantey thy phir bhi aapka naam le na sakey...
....................................................................
Meri har wafa pe aap bhi
Meri har wafa pe aap bhi wafa kerna,
Na kabhi dosti mein dagha kerna,
Apni dosti ka sooraj kabhi ghuroob na ho,
Aey dost khuda se bas yehi dua kerna...
....................................................................
Humne mangi hai mohabat
Humne mangi hai mohabat na wafa mangi hai,
Humne tu sirf dosti ki inteha mangi hai,
Khuda se kuch nahin manga humne,
Bas dost ki khushiyon bhari zindagi ki dua mangi hai...
....................................................................
Ajeeb shakhs tha kaisa
Ajeeb shakhs tha kaisa mizaaj rakhta tha,
Paas reh ker bhi mujhse ikhtelaf rakhta tha,
Usay shayad kisi aur se mohabbat thi,
Humse se tu bas yunhi mazaq rakhta tha...
....................................................................
Hum ek bar jeetey hain
Hum ek bar jeetey hain,
Ek bar martey hain,
Ek bar piyar kartey hain,
Dil bhi ek bar daitey hain,
Jab hum har kam ek bar kartey hain
Tu aapko miss kiyun bar bar kartey hain...??
....................................................................
Kuch es tarhan se wafa ki
Kuch es tarhan se wafa ki missal deta hun,
Sawal kerta hai koi tu taal deta hun,
Usi se kehta hun aksar fareeb manzil ka,
Mein jis k paon se kanta nikal deta hun...
....................................................................
Dil torna saza hai
Dil torna saza hai mohabat ki,
Dil jorna adaa hai dosti ki,
Manngay jo qurbaniyan wo hai mohabat,
Aur jo bin manngay qurban ho jaye wo hai dosti...
....................................................................
Zindagi se poochiye ye
Zindagi se poochiye ye kiya chahti hai,
Bas ek aapki waffa chahti hai,
Kitni masoom aur nadan hai ye,
Khud bewaffa hai aur waffa chahti hai...
....................................................................
Bicher jana tu os k liye
Bicher jana tu os k liye maenay nahin rakhta,
Jafaon ka apni hissab wo zabani nahin rakhta,
Rota nahin ya osay rona nahin aata,
Sungdil hai ya phir aankhon mein pani nahin rakhta....
....................................................................
Aashna hotey huay bhi
Aashna hotey huay bhi aashna koi nahin,
Jantey hain sab mujhy pehchanta koi nahin,
Mukhtasir lafzon mein ye hai mizaj-e-dosti,
Rabta beshak hai sab se wasta koi nahin...
....................................................................
Janey kiyun log doston ko
Janey kiyun log doston ko bhula detey hain,
Kuch pal sath rehney k baad durr chaley jatey hain,
Sach hi kehti hai ye duniya k,
Saagar milney k baad log barish ko bhula detey hain...
....................................................................
Bari koshish k baad
Bari koshish k baad osay bhula diya,
Oski yadon ko dil se mita diya,
Ek din phir oska paigham aya likha tha mujhy bhul jao,
Or mujhy bhula hua har lamha yad dila diya...
....................................................................
Bicherty waqt osne
Bicherty waqt osne kaha tha
Na sawal kerna na jawab milega
Mujhy bhul jana qarar milega..
Hum os maqam per thy
Na sawal kiya na jawab mila
Na bhul sakey na qarar mila...
....................................................................
Tum apni zulf ki parchaiyan
Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni shaam ki tanhaiyan mujhay day do
Mein doob jaon tumhari udas aankhon mein
Tum apnay dard ki gehraiyan mujhay day do
....................................................................
apane sivaa hamaare
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto
sab kuchh sahi ‘Faraz’ par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto
....................................................................
Bichar gaya
Daikhna mujhe aur dair talak daikhty rehna,
Phir tasawur main khud se sharmaty rehna,
Her ada aus ki pasad thi apni,
Sharmana ghabrana khud ko chupaty rehna,
Aaj taqdeer ke zulm ki intaha hai nashtar,
Bichar gaya, socha jisy apnaaye rehna
....................................................................
Boht piyar se sath apne
Deeiray dheeray dil main utarta jata hai koi,
Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi,
Main toot ke bikhar jaon, ye mumkin nahi,
Boht piyar se sath apne mujhe sulata hai koi………
....................................................................
badnaam na ho MOHABBAT
Lehar ko pyar tha kinary se,
Par us ki shadi ho gaye sagar se,
Kinary ki chahat lehar ko khench lati hay,
Par badnaam na ho MOHABBAT is liye wo laut jaati hay,
....................................................................
Guzre dinon ki bhuli
Guzre dinon ki bhuli hoi bat ki tarha,
Ankhon me jagta he koi rat ki tarah,
Tumse umed thi k nibhao gy dosti,
Tum bhi badal gaye Karachi k halaat ki tarah.
....................................................................
Dil_E_NADAN
kisi ki Awaaz k liye Dil tarasta hai
kisi k Intzaar men Dil Tarapta hai
Kya kahein is Dil_E_NADAN ko
Jo apna ho kar b kisi or k liye Dharkta hai..
....................................................................
Mere Wujood Mein Waffa
Mere Wujood Mein Waffa Ki Roshni Utaar De,
Phir Itna Pyar De K Mujhko Chahaton Mein Maar De.
Buhut Udaas Tha So Uthh K Tere Paas Aagya,
Kuch Aesi Baat Ker Jo Dil Ko Chaen De,Qarar De.
Suna Hai Teri Ek Nazar Sanwarti Hai Zindagi,
Jo Ho Sake To Aj Meri Zindagi Sanwar De.
Ae Mehtaab Tu Kabhi Jo Mera Chaand Dekh Le,
Qasam Khud Ki Apni Jaan Tu Bhi Us Pe Waar De.
Mera Asasa-e-Hayat Chhin Gaya Hai Dosto,
Do Chaar Din Ki Zindagi Koi Mujhe Udhaar De.
KhushNaseeb main Nahin, to Shaam-e-Ghamm Hi De Mujhe ,
Yeh Kab Kaha K Tu Mujhe Gullab De, Bahar De.
Mujhe Kisi K Ishq Ne Banaya Neer-e-Jahan,
Dua Kero Khuda Yeh Gham Tumhen Bhi Ek Baar De.
....................................................................
shaam ho jaam ho
shaam ho jaam ho subuu bhii ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho
dil se dil kii kahaaniyaa.N bhii sune
aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n guftaguu bhii ho
jhiil sii gaharii sabz aa.Nkho.n me.n
Duub jaane kii aarazuu bhii ho
sirf tere badan kii shamaa jale
aur a.Ndheraa-saa chaar_suu bhii ho
....................................................................
chaa.Nd se kahaa ham ne
munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote
besabab baGaavat ke saanahe nahii.n hote
jhuuTh aur sadaaqat kii jang to azal se hai
phir bhii sach pe jiine ke hausale nahii.n hote
soch ke judaa honaa phir ke mil na paaye.nge
kyo.n ke is zamaane me.n mojeze nahii.n hote
jo bhii the gile shikave duur kar ke jaanaa thaa
kam se kam bichha.Dane par dil bure nahii.n hote
chaa.Nd se kahaa ham ne tum hii raat bhar jaago
ham se us kii yaado.n me.n rat_jage nahii.n hote
....................................................................